Pages

Thursday, 18 August 2011

Power Of Sai's Grah Shanti Mantra



Sai Tum Me Sab Lok Samaaye
Sab Grah Tum Se Hi Gatiya Paye


Surya Dev Ki Tej Se Manav
Yash Pratap Ki Doulat Paaye


Chandra Devta Ati Prasnna Ho
Tan Man Ko Sheetal Kar Jaaye


Mangal Bhi Amangal Taj Kar
Mangal Mangal Hi Kar Jaaye

Budh Gyaan Bhandaar Badhaaye
Jab Dharti Par Prakaash Phailaaye

Brahaspati Sab Sukho Se Bhar De
Teri Bhasm Jo Maath Lagaaye


Shukar Aanishta Nahi Kar Paaye
Jab Baba Prem ki Gangaa Bahaaye


Shani Kabhi Naa Vakri Hoye
Tere Charan Aa Rakshan Paaye


Teri Ek Nazar Se Baba
Raahu Rafuchkar Ho jaye


Ketu Apne Shub Grah Me Rah
Tere Jan Ko Laabh Karaaye.


Shraddha Rakh Tere Dar Jo Aaye
Karm Lekh Unkaa Mit Jaaye


 Baba Tumhaari Kripa Drishti Se
Sab Grah Sahi Dishaa Par Aaye


Kaahe Vidhi Kaa Lekh Daraaye
Jab Karunasindhu Sab Paap Mitaaye


Tere Chamatkar Se Deva
Tera Bandhu Navjivan Paaye


Ved Vedaant Shruti Samjaaye
Teri Mahima Kahi Naa Jaaye